Beti ki Paidaiesh par Khush hona Chahiye - islamic moral story
Aik ilaqay mein aik baba jee ka intiqal ho gaya. Janaza tayyar hwa aur jab utha kar qabrustan jane lagey to aik aadmi agy aaya aur charpayee ka aik paon pakar kar bola. Marnay walay ne mere 15 laakh rupay dainay hin.
Pehlay mujhe paisay day do phir is ko dafan karne dun ga. Tamam log kharray tamasha dekh rahay thay, beton ne kaha marnay walay ne hamein koi aisi baat nahi batayi ke woh maqrooz hai is liye ham yeh paisay nahi day satke. Marnay walay ke bhaiyon ne kaha jab betay zimma daar nahi to hum kyun day. Ab saaray kharray hain aur is ne charpayee pakri hui hai.
Jab baat ghar ki aurton tak ja pohanchi. Marnay walay ki ekloti beti ne jab yeh baat suni to foran apna sara zewar utara aur apni saari naqad raqam jama karkay is aadmi ke liye bhijwa den. Aur kaha allah ke liye yeh raqam aur zewar beech kar is ki raqam rakho aur mere abbu ka janaza nah roko. Mein marnay se pehlay sara qarza ada kar dun gi.
Baqi raqam ka jald bandobast karoon gi. Ab woh saaray majmaa ko mukhatib karkay bola. Asal baat yeh hai ke mein ne marnay walay se pandrah laakh lainay nahi blke is ke 15 laakh dainay hain. Lekin main is ke kisi waris ko jaanta nah tha.
To mein ne yeh khail khela ab mujhe pata chal chuka hai is ki waris aik beti hai. Aur is ka koi beta aur koi bhai nahi. Ab bhai mun utha kar usay dekh rahay thay aur betay bhi.
Mohtaram dostoo jin ki betiyan hain bohat khush naseeb hain. Lehaza beti ki paidaiesh par khush hona chahiye. Baityon ki shariat mein bohat fazeelat bayan ki gayi hai.
0 Comments