Tayammum Ka Tarika | Tayamum Ke Faraiz aur Sunnatin
Assala O Alekum Muslim Hony K Naty Hummy Tayammum Ka Tarika Ana Chey. Agar Ap Py Ghusal Farz Ho jay Aur Ghusal Keliy Pani Dstiyab Na Ho To Es Surat Main Tayammum Kiya Jata Hy. So Ap Ko Pata Hona Chey K Tayammum Ka Tarika Kia hy Ya Tayammum Ke Farz Aur Sunnatin Kon C Hy. Aj Es Post Main Hum Ap Ko Tayammum Ka Tarika Btain Gy Jo Islam Main Hy.
Tayammum Ke Faraiz
Tayammum Main 3 Farz Hy. In Main Sy Koi 1 Bhi Reh Jay To Ap Ka Tayammum Nhy Ho Ga. Lehaza Ap Ny Tayammum Karty Waqt In Farz Ka Khayal Rakhna Hy. Tayammum k Farz Nechy Likhy Gy Hy.
- Niyat Ka Karna ( نیت کا کرنا )
- Sary Chehry Py Hath Pherna ( سارے چہرے پہ ہاتھ پھرنا )
- Kohniyo Sameet 2 Hatho Ka Massa Karna ( کہنیوں سمیت دونوں ہاتھوں کا مسح کرنا )
Tayammum Ka Tarika In Hindi
Sub Sy Pehly Tayammum Ki Niyat Karin. Phir Bismillah Parh Kar Dono Hatho ki Ungliya Khol K Kisi Pak Zameen Ya Pathar py mar k Us Sy Sary Chehray Ka Es Tarha Masha Kirin k Koi Hissa Reh Na Jay, Agar Thori C Jaga Bhi Reh Gai To Tayammum Nahy Ho Ga ( Agar Hatho Py Gard ya Ziyada Mati Lag Jay To Jhar Lin).
Phir Dosri Bar Esi Tarha Hath Zameen Py Mar K Dono Hatho Ka Kuhnio Sameet Masha Karin. Esi Tarha Seedhy Hath sy Ulty Hath Ka Masha Karin. Tayammum Main Sar Aur Pair ka Masha Nahy Hy.
0 Comments