الْحَمْدُ لِلَّهِ رَبِّ الْعَلَمِينَ وَالصَّلوةُ وَالسَّلَامُ عَلَى سَيْدِ الْمُرْسَلِينَ أَمَّا بَعْدُ فَأَعُوذُ بِاللهِ مِنَ الشَّيْطَنِ الرَّجِيمِ بِسْمِ اللهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيمِ
Rozah ki Fazilat, Maqsad aur Afadiyat
Durood Shareef Ki Fazeelat
Jab Hazrat Sayyiduna Shaykh Ahmad Bin Mansoor Faut Huway To Ahl-E-Sheeraz May Say Kisi Nay Khuwab May Daykha Kay Sar Par Motiyon Wala Taaj Sajaye, Bahtareen Hullah (Ya'Ni Jannati Jorra) Zayb-E-Tan Kiye Woh Sheeraz Ki Jami' Masjid Ki Mehrab May Kharray Hayn. Khuwab Daykhnay Walay Nay Haal Daryaft Kiya To Farmaya: Allah Nay Mujhay Bakhsha, Karam Farmaya Aur Taaj Pahna Kar Jannat May Dakhil Kiya. Poocha: Kis Sabab Say? Farmaya: Mayn Huzoors All Auté És Al To Par Kasrat Say Durood Pak Parrha Karta Tha Yehi ‘Amal Kaam Aa Gaya. (Al-Qawl-Ul-Badi', Pp. 254)
صَلُّوْا عَلَى الْحَبِيْب صَلَّى اللهُ تَعَالَى عَلَى مُحَمَّد
Allah Ka Kitna Barra Karam Hay Kay Us Nay Hum Par Maah- E-Ramazan Kay Rozay Farz Kar Kay Hamaray Liye Samaan-E- Taqwa Faraham Kiya. Allah Parah 2 Surah Baqarah Ki Aayat Number 183 Ta 184 May Irshad Fermata Hay:
1 Faizan-E-Sunnat May Har Jagah Masaa`Il Fiqah Hanafi Kay Mutabiq Diye Gaye Hayn. Lihaza Shafa'I, Maaliki Aur Hanbli Islami Bhai Fiqhi Masaa`Il Kay Mua'Amalay May Apnay Apnay 'Ulama-E-Kiraam Say Rujoo' Karayn
يَا يُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا كُتِبَ عَلَيْكُمُ الصَّيَامُ كَمَا كُتِبَ عَلَى الَّذِيْنَ مِنْ قَبْلِكُمْ لَعَلَّكُمْ تَتَّقُونَ أَيَّامًا مَّعْدُودَةٍ فَمَنْ كَانَ مِنْكُمْ مَّرِيضًا أَوْ عَلَى سَفَرٍ فَعِدَّةٌ مِنْ أَيَّامٍ أُخَرَ وَعَلَى الَّذِيْنَ يُطِيقُونَهُ فِدْيَةٌ طَعَامُ مِسْكِينٍ فَمَنْ تَطَوَّعَ خَيْرًا فَهُوَ خَيْرٌ لَّهُ وَ اَنْ تَصُوْمُوْا خَيْرٌ لَكُمْ إِنْ كُنْتُمْ تَعْلَمُونَ
Tarjamah: Kanz-Ul-Iman: Aye Iman Walo! Tum Par Rozay Farz Kiye Gaye Jaysay Aglon Par Farz Huway Thay Kay Kahi Tumhayn Parhayzgari Milay, Ginti Kay Din Hayn To Tum May Jo Koi Beemar Ya Safar May Ho To Utnay Rozay Aur Dinon May Aur Jinhayn Is Ki Taqat Na Ho Woh Badlay May Aik Miskeen Ka Khana Phir Jo Apni Taraf Say Nayki Ziyadah Karay To Woh Us Kay Liye Behtar Hay Aur Rozah Rakhna Tumharay Liye Ziyadah Bhala Hay Agar Tum Jano.
Rozah Barri Purani 'Ibadat Hay
Aayat-E-Kareemah Kay Ibtidaye Hissay Kay Taht Tafseer-E- Khazin May Hay: Tum Say Pahlay Logon Say Murad Yeh Hay: Hazrat Sayyiduna Aadam Safiullah Say Hazrat Sayyiduna 'Isa Roohullah
Tak Jitnay Ambiya-E-Kiraam Tashreef Laaye Aur Un Ki Ummatayn Aayen Un Par Rozay Farz Hotay Chalay Aaye Hayn (Magar Us Ki Soorat Hamaray Rozon Say Mukhtalif Thi). Matlab Yeh Hay Kay Rozah Barri Purani 'Ibadat Hay Aur Guzishtah Ummaton May Koi Ummat Aysi Nahin Guzri Jis Par Allah Nay Tumhari Tarah Rozay Farz Na Kiye Hon. (Tafseer-E-Khazin, Vol. 1, Pp. 119) Aur Tafseer-E- ́Azeezi May Hay: Hazrat Sayyiduna Aadam Par Har Maheenay Kay Ayyam-E-Beez (Ya'Ni Chand Ki 13, 14, Aur 15 Tareekh) Kay 3 Rozay Farz Thay. Aur Yahood (Ya'Ni Hazrat Sayyiduna Moosa Kaleemullah Ki Qawm) Par Yaum-E-Aashoora (Ya'Ni 10 Muharram-Ul-Haraam) Kay Din Aur Har Haftay (Saturday) Kay Din Ka Aur Kuch Dinon Kay Rozay Farz Thay Aur Nasaraa Par Maah-E-Ramazan Kay Rozay Farz Thay. (Tafseer-E-'Azeezi, Vol. 1, Pp. 771)
Rozay Ka Maqsad
Maktabah-Tul-Madinah Ki Matbu'Ah Tafseer-E-Siraat-Ul-Jinan Jild 1 Safhah 290 Par Hay: Aayat Kay Aakhir May Bataya Gaya Kay Rozay Ka Maqsad Taqwa Aur Parhayzgari Ka Husool Hay. Rozay May Chunkay Nafs Par Sakhti Ki Jati Hay Aur Khanay Peenay Ki Halal Cheezon Say Bhi Rok Diya Jata Hay To Is Say Apni Khuwahishaat Par Qaabo Paanay Ki Mashq (Practice) Hoti Hay Jis Say Zabt-E-Nafs (Nafs Par Qabo) Aur Haraam Say Bachnay Par Quwwat Haasil Hoti Hay Aur Yehi Zabt-E-Nafs Aur Khuwahishaat Par Qabo Woh Bunyadi Cheez Hay Jis Kay Zaree ́Ay Aadami Gunahon Say Rukta Hay.
Rozah Kis Par Farz Hay?
Tawheed Aur Risalat Ka Iqrar Karnay Aur Tamam Zarooriyaat-E- Deen Par Iman Laanay Kay Ba'D Jis Tarah Har Musalman Par Namaz Farz Qarar Di Gaye Hay Usi Tarah Ramazan Shareef Kay Rozay Bhi Har Musalman (Mard-O-'Aurat) ‘Aaqil Aur Baaligh Par Farz Hayn. Durr-E-Mukhtar May Hay: Rozay 10 Sha'Ban-Ul- Mua'Zaam San 2 Hijri Ko Farz Huway. (Durr-E-Mukhtar, Vol. 3, Pp. 383)
Rozah Farz Honay Ki Wajah
Islam May Aksar A'Amaal Kisi Na Kisi Rooh Parwar Waqi'Ay Ki Yaad Tazah Karnay Kay Liye Muqarrar Kiye Gaye Hayn. Masalan Safa-O-Marwah Kay Darmiyan Hajiyon Ki Sa'I Hazrat Sayyidatuna Hajirah رَضِيَ اللهُ تَعَالَى عَنْهَا Ki Yaadgar Hay. Aap رَضِيَ اللهُ تَعَالَى عَنْهَا Apnay Lakht-E-Jigar Hazrat Sayyiduna Isma'Eel Zabeehullah Sa Kay Liye Paani Talash Karnay Kay Liye In Donon Paharron Kay Darmiyan 7 Baar Chali Aur Dorri Thi. Allah Ko Hazrat Sayyidatuna Hajirah Ki Yeh Ada Pasand Aa Gaye.
Lihaza Isi Ada-E-Hajirah رَضِيَ اللهُ تَعَالَى عَنْهَا Ko Allah عزوجل Ny Baki Rakhtay Huway Hajiyon Aur 'Umrah Karnay Walon Kay Liye Safa- O-Marwah Ki Sa'I Wajib Farma Di. Isi Tarah Maah-E-Ramazan May Say Kuch Din Hamaray Piyaray Sarkar صَلَّى اللَّهُ تَعَالَى عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Nay Ghaar-E-Hira May Guzaray Thay, Is Dawran Aap
Din Ko Khanay Say Parhayz Kartay Aur Raat Ko Zikrullah May Mashghool Rahtay Thay To Allah عزوجل Nay Un Dinon Ki Yaad Tazah Karnay Kay Liye Rozay Farz Kiye Ta Kay Us Kay Mahboob صَلَّى اللَّهُ تَعَالَى عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ki Sunnat Qaaim Rahay.
Ambiya-E-Kiraam Kay Rozon Say Muta'Alliq 3 Farameen-E-Mustafa
- (Hazart) Aadam Safiullah Nay (Chand Ki) 13, 14, 15 Tareekh Kay Rozay Rakhay. (Kanz-Ul-'Ummal, Vol. 8, Pp. 258, Hadees. 24188)
- صَامَ نُوح الدَّهْرَ الْايَوْمَ الْفِطْرِ وَيَوْمَ الْأَضْحَى Yani (Hazart) Nooh Najiullah Eid-Ul-Fitr Aur ‘Eid-Ul-Azha Kay ‘Alawah Hamayshah Rozah Rakhtay Thay. (Ibn-E-Majah, Vol. 2, Pp. 333, Hadees. 1714)
- Hazrat Dawood Aik Din Chhorr Kar Aik Din Rozah Rakhtay Thay. (Muslim, Pp. 584, Hadees. 1159)
- Aur Hazrat 'Isa Roohullah Hamayshah Rozah Rakhtay Thay Kabhi Na Chhorrtay Thay. (Ibn E-'Asakir, Vol. 24, Pp. 48)
Rozah Dar Ka Iman Kitna Pukhtah Hay!
Meethay Meethay Islami Bhaiyon! Sakht Garmi Hay, Piyas Say Halq Sookh Raha Hay, Hont Khushk Ho Rahay Hayn, Paani Maujood Hay Magar Rozah Dar Us Ki Taraf Daykhta Tak Nahin, Khana Maujood Hay Bhook Ki Shiddat Say Haalat Digar Goo Hay Magar Woh Khanay Ki Taraf Haath Tak Nahin Barrhata. Aap Andazah Farmaiye! Is Musalman Ka Khuda Pukhtah Iman Hay Kyun Kay Woh Janta Hay Kay Is Ki Harakat Sari Dunya Say To Chhup Sakti Hay Magar Allah ♬ Say Posheedah Nahin Rah Sakti. Allah Par Us Ka Ye Yaqeen-E-Kaamil Rozay Ka ‘Amali Nateejah Hay, Kyun Kay Dusri ‘Ibadatayn Kisi Na Kisi Zaahiri Harakat Say Ada Ki Jati Magar Rozay Ka Ta'Alluq Baatin Say Hay, Us Ka Haal Allah Kay Siwa Koi Nahin Janta Agar Woh Chhup Kar Kha Pee Lay Tab Bhi Log Yehi Samjhtay Rahayn Gay Kay Yeh Darwazah Hay, Magar Mahz Khauf-E-Khuda Woh Khanay Peenay Say Apnay Aap Ko Bacha Raha Hay.
Bachay Ko Kab Rozah Rakhwaya Jaye
Mayray Aaqa A'La Hazrat Kay Ba'Is Farmatay Hayn: Bacha Jaysay Hi Aathwayn (8) Saal May Qadam Rakhay Us Kay Wali (Ya'Ni Sar Parast) Par Laazim Hay Kay Usay Namaz Rozay Ka Hukm Day Aur Jab 11 Saal Shuru' Ho To Wali Par Wajib Hay Kay Namaz Na Parrhnay Aur Rozah Na Rakhnay Par Maaray Ba-Shart Yeh Kay Rozay Ki Taqat Ho Aur Rozah Zarar (Ya'Ni Nuqsan) Na Karay. (Fatawa Razawiyyah, Vol. 10, Pp. 345)
Fuqaha-E-Kiraam Farmatay Hayn: Bacha Ki 'Umr 10 Saal Ki Ho Jaye Aur (Giyarhvi May Qadam Rakh Day Aur) Us May Rozah Rakhnay Ki Taqat Ho To Us Say Ramazan-Ul-Mubarak May Rozah Rakhwaya Jaye. Agar Poori Taqat Honay Kay Ba-Wujood Na Rakhay To Maar Kar Rakhwaiye Agar Rakh Kar Torr Diya To Qaza Ka Hukm Na Day Gay Aur Namaz Torr Day To Phir Parrhwayie.
(Radd-Ul-Muhtar, Vol. 3, Pp. 442)
Hayrat Angayz Inkishafaat
Holland Ka Paadri Alf Gaal Kahta Hay: Mayn Nay Sugar, Dil Aur Mai'Day Kay Mareezon Ko Musalsal 30 Din Rozay Rakhwaye, Nateejatan Sugar Walon Ki Sugar Control Ho Gaye, Dil Kay Mareezon Ki Ghabrahat Aur Saans Ka Phholna Kam Huwa Aur Mai'Day Kay Mareezon Ko Sab Say Ziyadah Faai`Dah Huwa. Aik Angrayz Mahir-E-Nafsiyaat Sigmund Freud Ka Bayan Hay: Rozay Say Jismani Khichao, Zehni Depression Aur Nafsiyaati Amraaz Ka Khatimah Hota Hay.
Doctors Ki Tahqeeqati Team
Aik Akhbari Report Kay Mutabiq Germony, England Aur America Kay Maahir Doctors Ki Tahqeeqaati Team Ramazan-Ul- Mubarak May Pakistan Aaye Aur Unhon Nay Bab-Ul-Madinah Karachi, Markaz-Ul-Awliya Lahore Aur Diyaar-E-Muhaddis-E- Azam Sardar Abad (Faisalabad Punjab Pakistan) Ka Intikhab Kiya.
Survey Kay Ba'D Unhon Nay Yeh Report Paysh Ki: Chun Kay Musalman Namaz Parrhtay Aur Ramazan-Ul-Mubarak May Is Ki Ziyadah Pabandi Kartay Hayn Is Liye Wuzo Karnay Say Naak Aur Galay Kay Amraaz May Kami Waqi' Ho Jati Hay, Neez Musalman Rozay Kay Ba'Is Kam Khatay Hayn Lihaza Mai'Day, Jigar, Dil Aur A'Asaab Ya'Ni Patthon Kay Amraaz May Kam Mubtala Hotay Hayn.
Khoob Datt Kar Khanay Say Beemariyan Payda Hoti Hayn Meethay Meethay Islami Bhaiyon Fi-Nafsihi Rozay Say Koi Beemar Nahin Hota Balkay Sahari-O-Iftari May Bay Ihtiyatiyon Aur Bad Parhayziyon Kay Sabab Neez Donon Waqt Khoob Muragghan (Ya'Ni Tayl, Ghee Wali) Aur Tali Huyi Ghizaoon Kay Isti'Mal Aur Raat Bhar Waqtan Fa-Waqtan Khatay Peetay Rahnay Say Rozah Daar Beemar Ho Jata Hay, Lihaza Sahri Aur Iftar Kay Waqt Khanay Peenay May Ihtiyat Baratni Chahiye, Raat Kay Dawran Payt May Ghiza Ka Itna Ziyadah Bhi Zakheerah Na Kar Liya Jaye Kay Din Bhar Dakarayn Aati Rahayn Aur Rozay May Bhook Piyas Ka Ihsas Hi Na Rahay, Agar Bhook Piyas Ka Ihsas Hi Na Raha To Phir Rozay Ka Lutf Hi Kiya Hay!
Daykha Jaye To Aik Tarah Say Rozay Ka Maza Hi Is Baat May Hay Kay Sakht Garmi Ho, Shiddat-E-Piyaas Say Lab Sookh Gaye Hon Aur Bhook Say Khoob Nidhaal Ho Chukay Ho Aysay May Kash! Madinah Munawwarah Ki Meethi Meethi Garmi Aur Thandi Thandi Dhoop Ki Yaad Tazah Ho Aur Aye Kash! Karbala Kay Taptay Huway Sahra Aur Gulistan-E-Nubuwwat Kay Mahaktay Huway No-Shiguftah Phoolon, 3 Din Ki Bhook Piyas Say Tarraptay Bilaktay ‘Haqeeqi Madani Munnon' Aur Huzoor Kay Bhhokay Piyasay Mazloom Shahzadon Ki Yaad Tarrpanay Lagay, Aur Jis Waqt Bhook Piyas Kuch Ziyadah Hi Sataye Us Waqt Tasleem-O- Riza Kay Paykar Huzoora Kay Shikam-E-Athar Par Bandhay Huway Ba-Muqaddar Patthar Bhi Yaad Aa Jayen To Kiya Kahnay! Lihaza Meethay Meethay Islami Bhaiyon! Waqi'Ee Rozay To Aysay Honay Chahiye Kay Hum Apnay Aaqaon Aur Sarkaron Ki Haseen Yaadon May Gum Ho Jayen.
Rozay Kay Faza`Il Say Muta'Lliq 10 Farameen-E-Mustafa
1. Jannati Darwazah
Bayshak Jannat May Aik Darwazah Hay Jis Ko Rayyan Kaha Jata Hay, Is Say Qiyamat Kay Din Rozah Dar Dakhil Hon Gay Un Kay 'Ilawah Koi Aur Dakhil Na Ho Ga. Kaha Jaye Ga: Rozay Dar Kahan Hayn? Pas Yeh Log Kharray Hon Gay Un Kay 'Ilawah Koi Aur Is Darwazay Say Dakhil Na Ho Ga. Jab Yeh Dakhil Ho Jaye Gay To Darwazah Band Kar Diya Jaye Ga Pas Phir Koi Is Darwazay Say Dakhil Na Ho Ga. (Bukhari, Vol. 1, Pp. 625, Hadees.1896)
2. Sabiqah Gunahon Ka Kaffarah
Jis Nay Ramazan Ka Rozah Rakha Aur Us Ki Hudood Ko Pahchana Aur Jis Cheez Say Bachna Chahiye Us Say Bacha To Jo (Kuch Gunah) Pahlay Kar Chuka Hay Us Ka Kaffarah Ho Gaya.
(Al-Ihsan Bi-Tarteeb Saheeh Ibn Habban, Vol. 5, Pp. 183, Hadees, 3424)
3. Jahnnam Say 70 Saal Ki Musafat Door
Jis Nay Allah Ki Raah May Aik Din Ka Rozah Rakha Allah I Us Kay Chehray Ko Jahannam Say 70 Saal Ki Masafat Door Kar Day Ga. (Bukhari, Vol. 2, Pp. 265, Hadees. 2840)
4. Ayk Rozay Ki Fazeelat
Jis Nay Aik Din Ka Rozah Allah Ki Riza Haasil Karnay Kay Liye Rakha, Allah ♬ Usay Jahannam Say Itna Door Kar Day Ga Jitna Aik Kawwa Jo Apnay Bachpan Say Urrna Shuru' Karay Yahan Tak Kay Borrhha Ho Kar Mar Jaye. (Abu Ya'La. Vol. 1, Pp. 383, Hadees. 917)
5. Surkh Yaqoot Ka Makaan
Jis Nay Maah-E-Ramazan Ka Aik Rozah Bhi Khamoshi Aur Sukoon Say Rakha Us Kay Liye Jannat May Aik Ghar Sabz Zabarjad Ya Surkh Yaqoot Ka Banaya Jaye Ga. (Mu'Jam-E-Awsat, Vol. 1, Pp. 379, Hadees. 1768)
6. Jism Ki Zakat
Har Shay Kay Liye Zakat Hay Aur Jism Ki Zakat Rozah Hay Aur Rozah Aadha Sabr Hay. (Ibn-E-Majah, Vol. 2, Pp. 347, Hadees. 1745)
7. Sona Bhi 'Ibadat Hay
Rozah Dar Ka Sona 'Ibadat Aur Is Ki Khamoshi Tasbeeh Karna Aur Is Ki Du'A Qabool Aur Is Ka 'Amal Maqbool Hota Hay.
(Shu'Ab-Ul-Iman, Vol. 3, Pp. 415, Hadees, 3938)
8. A'Aza Ka Tasbeeh Karna
Jo Bandah Rozay Ki Haalat May Subh Karta Hay, Us Kay Liye Aasman Kay Darwazay Khol Diye Jatay Hayn Aur Us Kay AʼAza Tasbeeh Kartay Hayn Aur Aasman-E-Dunya Par Rahnay Walay (Firishtay) Us Kay Liye Sooraj Doobnay Tak Maghfirat Ki Du'A Kartay Rahtay Hayn. Agar Woh Aik Ya Do Rak'Atayn Parrhta Hay To Yeh Aasmanon May Us Kay Liye Noor Ban Jati Hayn Aur Hoor-E- 'Ain (Ya'Ni Barri Ankhon Wali Hooron) May Say Us Ki Biwiyaan Kahti Hayn: Aye Allah Tu Is Ko Hamaray Paas Bhayj Day Hum Is Kay Deedar Ki Bahut Ziyadah Mushtaq Hayn.
Aur Agar Wo لَا إِلهَ إِلَّا اللهُ Ya سُبحن الله Ya الله اكبر Parrhta Hay To 70 Hazaar Firishtay Us Ka Sawab Sooraj Doobnay Tak Likhtay Rahtay Hayn. (Ayezan, Pp. 299, Hadees. 3591)
9. Jannati Phal
Jis Ko Rozay Nay Khanay Ya Peenay Say Rok Diya Kay Jis Ki Usay Khuwahish Thi To Allah Usay Jannati Phalon May Say Khilaye Ga Aur Jannati Sharab Say Sayrab Karay Ga. (Ayezan, Pp. 410, Hadees. 3917)
10. Sonay Ka Dastar Khuwan
Qiyamat Walay Din Rozah Daron Kay Liye Aik Sonay Ka Dastar Khuwan Rakha Jaye Ga, Jis Say Woh Khaye Gay Halan-Kay Log (Hisab Kitab Kay) Muntazair Hon Gay.
0 Comments